top of page

UNREVEALED STORIES a.k.a cute confessions!

“I really don’t know ki jaisa maine tumhare liye feel kiya, mai kisi aur k liye feel kar paungi ya nhi, lekin I definitely know ki agar tum meri life me waapis aaye I won’t be able to resist myself from confessing.”

/ Imagine Dil kya kare jab kisi se pyar ho jaaye, playing in background. /


Ye to mujhe pehle se pata tha ki if in future if I ever would have a love story, then it would definitely be a hate-love story. Ha jisme pehle jhagde, fir shikwe gile, aur uske baad pyaar ka izhar hota hai, lekin I never knew ki this would happen so early.

Aa.. itni jaldi khush mat ho jaana,

Spoiler-: I didn't even confess!


I feel in this world only 10% of love stories have true love, aur usme bhi 7% ek tarfa hota hoga. I know this true love and all seem boring but what to do. Aadhe logo ko pata bhi nhi chalta ki they are in love. Aur mujhe khud nhi pata ki what I felt was love or not. Ab tak nhi pata shayad. It’s just that I know one thing, jaisa maine uske liye feel kiya waisa kabhi kisi k liye feel nhi kiya!!


I got admission to KV VSN in 2017, when I was in 9th class, and he was my classmate, a cute but clever personality. Suno sabki, karo apne mann ki waala banda tha woh! Meri bestfriend ka padosi tha.

I know right!! (hahaha)


Meri bestie, she was the most late-lateef person ever, lekin mujhe sirf kabhi kabhi uski late lateefi pe gussa nhi aata tha kyunki uske late hone se mujhe bada khubsurat ehsaas krne ko milta tha. Maine to uski mummy ko bhi pata liya tha. Aunty kehti thi kitni pyaari bachi hai. Waise aunty ko patana kaafi aasaan tha ye baat mujhe tab pata chali jab mai bestfriend ke ghar ki balcony pe khade hokar paani pee rhi thi aur uski mummy ne kaha ki mera beta to kisi ldki se baat hi nhi karta. Literally, uss din muh me paani esa sarka ki kya hi batau.


Unhe kya pata tha ki unke beta humare school ka sabse bada flirt tha. Barabar age ki ladkiyon ka to chodo, choti ladkiya tak uspe fidaa thi badi didiya use kuchiku karke jaati thi aur uski mummy ko lagta tha ki wo ladkiyon se baat nhi karta.


Well, our talk also started with a fight. Humare English ke teacher, mai admission lete hi unki favourite students me aa gyi thi, lekin sab kehte hai ki saari ladkiya hi unki favourite student hai. Aaa.. sir thode se inclined the girls ki taraf lekin shareef the. Unhi k subject me, use kam aur mujhe thode zyada number mile to maine use khoob chidhaya aur science, maths me wo mujhse thoda tez tha to fir usne mujhe khoob chidaya.


Ladai jhagde badhte gaye lekin bass mazaak mazaak ke. Ek baar toh usne bina wajah jaane usne mujhpe chilla diya tha aur mai use naraaz ho gyi thi aur fir wo mujhe manane aaya tha aur mushkil se ek period me maan bhi gyi thi. Kyunki wo kehte hai na “you cannot remain angry for long on a person you have feelings for” lekin I think he never felt the same for me.


Ek baar galti mujhse bhi hui magar usne apology accept karne me 3 mahine lga diye. Ek baar school me mila to mujhse keh raha tha yaad hai wo 3 mahine, mai khush ho gayi ki someone is counting and all lekin ye bhi to ho skta hai na ki yaadasht tez ho. Jab wo mujhse naraazz hua to apne ek dost ko kaha ki mai uski le raha hu, aur ye jaanti hue bhi use manane ki koshish karti rahi aur jab wo maan gaya to humare beech ki dooriyan bhi ghati lekin shayad kaafi der ho gayi thi. Jo halki halki feelings uske andar aayi thi wo tab fade ho gayi, And then summer vacations ki chutiyan lag gayi.. Fir shayad jab humare subjects badle to uski ladne jhadne waali dost bhi badal gayi.


“Abhi bhi jab milta hai mujhse to thoda sharma jaati hu,

Magar mann hi mann use lautne ko kehti hu,

kyunki agar wo ruk gaya thodi der aur to meri nigahen ruk nhi payengi,

Mai fir use chahne lagungi aur uski dost fir badal jayegi!!”


By Smriti Ojha

32 views0 comments

Recent Posts

See All

Comments

Rated 0 out of 5 stars.
No ratings yet

Add a rating
bottom of page